Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.50 - 4 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Paan Beeda Chabau - पान बीड़ा चबाऊं
paan beeda chabaaun, na main surma lagaaun
paan beeda chabaaun, na main surma lagaaun
naina kaale hai honth laal laal rasiya
hai jawani ka sara kamaal rasiya

main gurjarti hun jidhar, shor hota hai udhar
main gurjarti hun jidhar, shor hota hai udhar
laal banduk me hai, maal sanduk me hai
dil me khatre se dare, chor chori na kare
shaam se subah talak , meri jhapke na palak
man me hoti hai kasak, choli jaati hai masak
man me hoti hai kasak, choli jaati hai masak
pallu seene se dhale, jor koi na chale
tan badan khaul uthe, aaina bol uthe
kya nahi tujhko khabar, hai wahi teri umar
kya nahi tujhko khabar, hai wahi teri umar
teri umar, jisko kehte hai solva saal rasiya
hai jawani ka sara kamaal rasiya
hai jawani ka sara kamaal rasiya

paan beeda chabaaun, na main surma lagaaun
paan beeda chabaaun, na main surma lagaaun

tere baalo me taki motiyon ki hai ladi
meri aankho me chhupi aansuo ki hai jhadi
dhadke dil ghadi ghadi
sochun main khadi khadi
main bhi dulhan thi bani, ek suhagan thi bani
ye hasi raat bhi thi, aai baaraat bhi thi
dulha lobhi tha sakhi, baap ne shart rakhi
maamle badhne lage, dost fir ladne lage
gira dulhan ka pita, jal uthi uski chita
ek tufaan hua, ghar bhi shashaan hua
koi bhi tha na puchhne haal rasiya
hai jawani ka sara kamaal rasiya
hai jawani ka sara kamaal rasiya

paan beeda chabaaun, na main surma lagaaun
paan beeda chabaaun, na main surma lagaaun

aesh ki chaah nahi, gam ki parwaah nahi
jeene ka jikar nahi, marne ki fikar nahi
tuti zanzeer hun main, futi takdeer hun main
fir bhi dushman ke liye ek shamsheer hun main
zehar ka ghunt piya, khud ko beparda kiya
tune kya jaan liya, mujhko pehchaan liya
katal karna hai mujhe, lena badla hai mujhe
tune tha dhokha diya, main hai mauka diya
waar karti hun khud ko sambhaal
hai jawani ka sara kamaal rasiya
hai jawani ka sara kamaal rasiya

paan beeda chabaaun, na main surma lagaaun
paan beeda chabaaun, na main surma lagaaun
naina kaale hai honth laal laal rasiya
hai jawani ka sara kamaal rasiya
hai jawani ka sara kamaal rasiya
lyrics of song Paan Beeda Chabau
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Paapi Sansar (1985)
Sadhana Singh, Surendra Pal, Master Sanjay, Sushant Raj, C S Dube, Nandita ThakurAnuradha Paudwal, Shabbir KumarMehboob SarwarMadan ChanderPravin KumarPravin KumarPaapi Sansar at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type