Lyrics of Panchhi Banu Udti Phiru Mast Gagan Me - पंछी बनू उड़ती फिरू मस्त गगन में
panchhi banun udati phiru mast gagan me
aaj main aazaad hu duniya ki chaman me
panchhi banun udati phiru mast gagan me
aaj main aazaad hu duniya ki chaman me
hillori hillori
o mere jivan me chamaka savera
o mita dil se wo gam ka andhera
o hare kheto me gaaye koi lahara
o yaha dil par kisika na baira
rang baharo ne bhara mere jivan me
rang baharo ne bhara mere jivan me
aaj main aazaad hu duniya ki chaman me
panchhi banun udati phiru mast gagan me
aaj main aazaad hu duniya ki chaman me
o dil ye chaahe baharo se khelu
o gori nadiya ki dhaaro se khelu
o chaand suraj sitaaro se khelu
o apani baaho me aakash lelu
badhti chalu gaati chalu apani lagan me
badhti chalu gaati chalu apani lagan me
aaj main aazaad hu duniya ki chaman me
panchhi banun udati phiru mast gagan me
aaj main aazaad hu duniya ki chaman me
hillori hillori
o main to odhungi baadal ka aanchal
o main to pahanungi bijali ki payal
o chhin lungi ghatao se kaajal
o mera jivan hai nadiya ki halchal
dil se mere lahare uthe thadi pavan me
dil se mere lahare uthe thadi pavan me
aaj main aazad hu duniya ki chaman me
panchhi banun udati phiru mast gagan me
aaj main aazaad hu duniya ki chaman me
panchhi banun udati phiru mast gagan me
aaj main aazaad hu duniya ki chaman me

"O mere jeevan mein chamka savera, o mita dil se wo gham ka andhera,
hare kheton mein gaaye koi lehra, o yahaan dil par kiseeka na pehra
rang baharon ne bhara mere jeevan mein
Swachhandta ka itna sundar prastutikaran. Nargis ko azaadi kee khulee hawa
mein dekh kar aur itne madhur gaane ko sun kar man prasann ho jaata hai.
Sabhi kalakaron ko naman.
Badhti chalun gaati chalun apni lagan mein, aaj main azaad hoon duniya ke
chaman mein.