Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.50 - 2 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaae - परेशान होके मेरी ख़ाक आखिर दिल न बन जाये
parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaa_e
parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaa_e
dil na ban jaa_e
parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaa_e
jo mushkil ab hai yaarab phir wohi mushkil na ban jaa_e
parishaan parishaan parishaan parishaan
parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaa_e
parishaan parishaan
parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaa_e
jo mushkil ab hai yaarab phir wohi mushkil na ban jaa_e
parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaa_e

kabhi chhod i hui mazil bhi yaad aati hai raahi ko
khatak si hai khatak si hai jo sine me gam-e-mazil na ban jaa_e
khatak si hai jo sine me gam-e-mazil na ban jaa_e
parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaa_e

banaayaa ishq ne dariyaa-e-naa-paigaa-garaan mujhako
banaayaa ishq ne dariyaa-e-naa-paigaa-garaan mujhako
ye meri ye meri ye meri ye meri
banaayaa ishq ne dariyaa-e-naa-paigaa-garaan mujhako
ye meri khud nigahadaari ye meri khud nigahadaari
ye meri ye meri khud nigahadaari meraa saahil na ban jaa_e
ye meri khud nigahadaari meraa saahil na ban jaa_e
aruz-e-aadam-e-khaaki se ajum sahame jaate hai

aruz-e-aadam-e-khaaki se ajum sahame jaate hai
ke ye tutaa hu_aa taaraa mah-e-kaamil na ban jaa_e
parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaa_e
jo mushkil ab hai yaarab phir wohi mushkil na ban jaa_e
parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaa_e

lyrics of song parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaae
Comments on song "parishaan ho ke meri khaak aakhir dil na ban jaae"
tauseefqau on Saturday, November 01, 2008
ji ji Mohtram chudhry sahib ne zikar to kiya tha galay ki kharabi ka.lakin
mein samjha ab tak theek ho gaye hoN gey..lakin lagta hai jo mein ne last
time bohat ziyada respect se Mukhatab kiya tha uska ulta asar hova hai :P..
aainda unki sehat ka khiyal rakha jaye ga:D Aor aap ne theek kaha...Ustad
Mehdi hassan ki tareef karty hove bhi Dar lagta hai.kahien koi ghalti na
ho jaye.. ab sooraj ko chiragh kon dikhaye 8)
maonpoka on Friday, March 19, 2010
Lafz Paresahan ka Pari se koi taauq nahe pari k maani farsi mein khobsoorat k hein tu gar prishan kahein gey tu Khoobsurat shan matlab ho ga jo k beymaani hey, darasal Parishan bilkul gariban k tarah hey kuch log gariban kehyey hein aur bohat se lo greban kehtey hein. mmkin hey preshan sahi talffuz ho lekin ziada istemal preshan ka hoa ho. tu jo lafz mashoor ho jata ghalaulaam kehlata hey jesey Simt aur samt wghera
ezeeusb on Saturday, November 01, 2008
ji bilkaul baja fermaya aap nee. rehaa Muhabbaton ka swaal tu janb ous ki
master and exclusive dealer ship choudry sahib key pass hai aour woh
mashala bhout he istmaal ker rehay hai ous ka aaj kal. (aap ko pata chala
ho ga unka gala kharb hai) and lastly Khan Sahib ki tareef kerna assan kaam
nahi ess liay mein ney try hi nahi ki :)
tauseefqau on Saturday, November 01, 2008
bas kiya kartay..aap itnay achhay upload kar rahay hain..ab hamain bhi to
kuch karkardagi dikhani ho gi na :) rest of everything...the way in which
Mehdi Hassan has sung it is more than Perfect..i dont think anyone can sing
better. Justice with Poetry of Iqbal :)
wajahatalvi2003 on Thursday, May 13, 2010
Janab ab kya wuqat iss insaan ki, jub itni ba zaooq lugaat ba tehreer ho.
bus her chaund ke la bala mumkin hai khan sahab ke khayal ki tareef. bus
dono jahan teri mohabbat mey har ke woh ja raha hai koi shab-e-gham guzar ke
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Non-film (Mehdi Hassan)
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type