Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Patla Patla Reshami Kurta
4.78 - 9 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Patla Patla Reshami Kurta - पतला पतला रेशमी कुरता
patla patla reshmi kurta chudidar pajama
patla patla reshmi kurta chudidar pajama
ek julf ke chhe tukde yeh dekh ke macha hungama
lut gaye mama lut gaye mama
lambe kalmi baal aawara pant kaa bana pajama
lambe kalmi baal aawara pant kaa bana pajama
paan tambakhu bala khakar cigarate piye panama
lut gaye mama lut gaye mama

pili bindi pile bunde naak me pili nathli
pili bindi pile bunde naak me pili nathli
tokri jaisa judda aur judde se choti nikli
judde se choti nikli
tokri bhi abb fashion ban gayi marr gaye ganga rama
ek julf ke chhe tukde yeh dekh ke macha hungama
lut gaye mama lut gaye mama

khuli sadak pe siti mare jaate dekh hasina
khuli sadak pe siti mare jaate dekh hasina
besharmo kaa leader banke chale taan ke seena
chale taan ke seena
yeh bhi humara fan bana hai dekho hir kaa mama
pan tambakhu bala khakar cigarate piye panama
lut gaye mama lut gaye mama

aao committi walon lagao inpe tax aur chungi
aao committi walon lagao inpe tax aur chungi
sadi peticoat ke upar kabja kar gayi lungi
are kabja kar gayi lungi
tauba tauba aaj ki chhori ban gayi ek drama
ek julf ke chhe tukde yeh dekh ke macha hungama
lut gaye mama lut gaye mama

baapu kare kamai beta karta satyanas
baapu kare kamai beta karta satyanas
char saal me paas hai karta bachha ek class
dekho karta bachha ek class
college ki copy me dekho likhe mohabbat nama
paan tambakhu bala khakar cigarate piye panama
lut gaye mama lut gaye mama

kamar hai halwe kaddu jaisi aao duwaye mange
kamar hai halwe kaddu jaisi aao duwaye mange
aisi lagti jaise lagi ho double roti ko tange
arre double roti ko tange
dhundh ke laon iss ke liye jo pehalwan ho gama
ek julf ke chhe tukde yeh dekh ke macha hungama
lut gaye mama lut gaye mama

sanyasi ne pher ustara pehan liya hai kachha
sanyasi ne pher ustara pehan liya hai kachha
lagta kursi pe baitha hai yeh gende kaa bachha
yeh gende kaa bachha
yeh bhi pyar ke pech ladaye wa re bhakta sudama
pan tambakhu bala khakar cigarate piye panama
lut gaye mama lut gaye mama

main hun tera aashiq yeh sari duniya pehchane
kyun thik hain jawab to de
arre main hu teraa aashiq yeh sari duniya pehchane
par andarwali baat jo hai woh main janu tu janey
sach hain naa bolti kyun nahi woh main janu tu janey
arre duniya wale kya janey ye tera mera drama
ek julf ke chhe tukde yeh dekh ke macha hungama
lut gaye mama lut gaye mama lut gaye mama lut gaye mama
lut gaye mama lut gaye mama lut gaye mama lut gaye mama
lyrics of song Patla Patla Reshami Kurta
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Beimaan (1972)
Manoj Kumar, Rakhee, Pran, Nazima, Sneh Lata, Premnath, Tun Tun, Gulshan Bawra, Sulochana, Murad, Prem Chopra, Raj MehraAsha Bhosle, Mukesh, Mahendra Kapoor, Lata Mangeshkar, Kishore KumarVarma MalikShankarsinh Raghuwanshi, Jaikishan Dayabhai PankalSohanlal KanwarSohanlal KanwarBeimaan at IMDB      Beimaan at WikipediaBeimaan at YouTube     |    Beimaan at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type