Video of this song from youtube
Lyrics of Phir Na Kije Meri Gustaakh Nigahi Ka Gila - फिर ना कीजै मेरी गुस्ताख़ निगाहों का गिला
phir na kije meri gustakh nigahi ka gila
dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
mai kaha tak na nigaho ko palatne deti
aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

is kadar pyar se dekho na hamari janib
dil agar aur machal jaye to mushkil hogi
tum jaha meri taraf dekh ke ruk jaaoge
vohi manjil meri taqadir ki manjil hogi
dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

ek yunhi si nazar dil ko jo chhu leti hai
kitne armaan jagati hai tumhe kya maalum
ruh bechain hai kadmo se lipatne ke liye
tumko har saans bulati hai tumhe kya maalum
dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
aap ke dil ne kai baar pukara mujhko

har nazar aap ki jazbaat ko uksati hai
mai agar hath pakad lu to khafa mat hona
meri duniya-e-mohabbat hai tumhare dam se
meri duniya-e-mohabbat se juda mat hona
dekhiye aap ne phir pyar se dekha mujhko
aap ke dil ne kai baar pukara mujhko
lyrics of song Phir Na Kije Meri Gustaakh Nigahi Ka Gila
Comments on song "Phir Na Kije Meri Gustaakh Nigahi Ka Gila"
reverseswing on Sunday, April 08, 2012
Beautiful lyric by Sahir, superb composition by Khayyam and excellent
singing by Mukesh & Asha. Sahir ke bol, Khayyam ki Mausiqui ko jazbat ki
sanjeedgi ke saath apni awaz me dhalna azeem gulokar Mukesh ka kamal hai.
Ye meri kotahi hogi agar mein yahan Asha ki tareef na karoon Jinhon ne bhi
is geet ko bahut hi khoob surat andaz me gaya hai. Jahan tak Urdu zaban ke
talaffuz ka talluq hai ismay Mukesh aur Talat ka jawab nahi.
Dilip Apte on Friday, March 02, 2012
Fantastic lyrics by Sahir and as usual a superb composition by Khayyam and
thoroughbred rendering by Mukesh and Asha. Glory be to these great people
who have time and again not only enriched our lives but helped us deal with
situations.
nandu1f on Tuesday, September 21, 2010
Amazingly sweet song. Mala Sinha really plays the emotions in the lyrics so
touchingly. Khayyam composed so many lilting melodies. This one among his
top five. Thanks ChalchitrRaski.
kirti kumar Khanna on Monday, July 26, 2010
I repeat here again this is my favourit rag YAMAN and mukesh and asha jee
have done very well and lasly Khayam sahib wha wha khayam sahib .is film ka
music lajwab hai
kirti kumar Khanna on Sunday, July 12, 2015
uff uff toba what a composition Rag yaman khyam sahib wha wha aur
mukesh jee kahanho wapis aa jao nobody can sing like you.aap me ishwar
tha
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Phir Subah Hogi (1958)
Raj Kapoor, Mala Sinha, Rehman, Leela Chitnis, Nana Palsikar, Tun Tun, Mubarak, Jagdish Sethi, Kamal KapoorAsha Bhosle, Mohammed Rafi, MukeshSahir LudhianviKhayyamRamesh SaigalRamesh SaigalPhir Subah Hogi at IMDB      Phir Subah Hogi at WikipediaPhir Subah Hogi at YouTube     |    Phir Subah Hogi at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type