Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.50 - 2 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Prem Ka Pinjra Ho Gaya Sunaa - प्रेम का पिंजरा हो गया सुना
prem ka pinjra ho gaya suna
man ka panchi chod gaya
aa jao bichede sathi aa ja
aa jao bichede sathi aa ja
kahe humse ruth gaya
prem ka pinjra ho gaya suna
man ka panchi chod gaya

chain humara le gaya koi
aasu humko de gaya
de gaya koi sukh ki
duniya le gaya
need hamari le gaya
pyar bhi hai
aakash bhi hai
taqdeer ka tara toot gaya
prem ka pinjra ho gaya suna
man ka panchi chod gaya

doob gai doob gai
doob gai hai
nayi fulwari
dash gai dash gai
dash gai haye yaad tumhari
doob gai nayi fulwari
dash gai haye yaad tumhari
reh gai aankhe
reh gai aankhe
sab kuch koi chod gaya
prem ka pinjra ho gaya suna
man ka panchi chod gaya

hum tumhe itna yaad kare
kabhi tum bhi humko yaad karo
ab duniya ko tumne ujada
ab aake ise aabad karo
ab main hun doobti nayiya
ab iska sahara chhut gaya
prem ka pinjra ho gaya suna
man ka panchi chod gaya

prem ka pinjra ho gaya suna
man ka panchi chod gaya
aa jao bichede sathi aa ja
aa jao bichede sathi aa ja
kahe humse ruth gaya
prem ka pinjra ho gaya suna
man ka panchi chod gaya
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Prem Ka Pinjra Ho Gaya Soona (1960)
S D BurmanRaja Mehdi Ali KhanS D Burman
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type