sada khush rahe too jafa karne waale
duwa kar rahe hain duwa karne waale
sada khush rahe too jafa karne waale
duwa kar rahe hain duwa karne waale
sada khush rahe too
sunate gam-e-dil jo tum paas aate
meri bekasee pe bhi kya tum naa rote
sunate gam-e-dil jo tum paas aate
meri bekasi pe bhi kya tum naa rote
magar kya dikhaye tumhe dil ke chhale
duwa kar rahe hai duwa karne wale
sada khush rahe too
sitam aur bhi ho toh woh bhi kiye jaa
sitam aur bhi ho toh woh bhi kiye jaa
ho kuchh aur bhi gam toh woh bhi diye ja
nahi phir bhi tujhse gila karne wale
dua kar rahe hai dua karne wale
sada khush rahe too jafa karne wale
dua kar rahe hain dua karne wale
sada khush rahe too jafa karne wale
dua kar rahe hain dua karne wale
sada khush rahe too
mai ummid nahi ker sakta ki aane wale waqt me koi singer is tarah ke geet
se hame mutassir ker payega.yakinan mukesh ka dard bhare nagme pesh kerne
andaz sabse nirala tha.