Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.00 - 2 votes
Ghazals
Video of this song from youtube
Lyrics of Saqi Teri Nazar Hai Ke Khanjar Sharab Mai - हर अदा का मियाब देखी हैं
har adaa ka miyaab dekhi hain
gardisho ka jaawab dekhi hain
hum ne kal raat maikade mein na pee
baate karti sharaab dekhi hain

saqi teri nazar hai ki khanjar sharaab mein

ek chaand dekhata hoon main aksar sharaab mein

teri khushi ke vaaste hum le teri kasam
teri khushi ke vaaste hum le teri kasam
khoone jigar milaya hain aksar sharab me
saqi teri nazar hai ki khanjar sharaab mein

hum dar gaye ke saap hain paimaana rakh diya

zulfon ka tere aksh samajh kar sharaab mein
saqi teri nazar hai ki khanjar sharaab mein

nazare jama ke dekha to mehsus ye huaa
nazare jama ke dekha to mehsus ye huaa
woh aa gaye hain bhes badalke sharaab mein
saqi teri nazar hai ki khanjar sharaab mein

mar jaaye maikade me to royega maikada
mar jaaye maikade me to royega maikada
saqi peela de zeher mila ker sharaab mein
saqi teri nazar hai ki khanjar sharaab mein

saqi teri nazar hai ki khanjar sharaab mein
ek chaand dekhata hoon main aksar sharaab mein
saqi teri nazar hai ki khanjar sharaab mein
saqi teri nazar hai ki khanjar sharaab mein
saqi teri nazar hai ki khanjar sharaab mein
lyrics of song Saqi Teri Nazar Hai Ke Khanjar Sharab Mai
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Life Story Of Ghazals (Album) (2009)
Anup JalotaAnup Jalota
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type