Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon

Video of this song from youtube
Average Rating : 3.00
Total Vote(s) : 1
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.


Lyrics of Sheesho Ka Maseeha - मोती हो की शीशा जाम के सुर
moti ho ki shisha jam ke sur
moti ho ki shisha jam ke sur
jo tut gaya so tut gaya
Kab ashko se jud sakta hai
jo tut gaya so chhut gaya
jo tut gaya so chhut gaya
tum na-haq-tukde chun chun kar
daman mein chupae baithe ho
shisho ka masiha koi nahi
kya aas lagaye baithe ho
kya aas lagaye baithe ho
kya aas lagaye baithe ho

shayad ki in tukdon mein kahin
wo sa ghar-e-dil hai jis mein
sar naz se utra karti thi
sehba-e-gham-e-jana ki pari
phir duniya walon ne tum se
ye sagar le kar phod dia
phir duniya walon ne tum se
ye sa ghar le kar phod dia
jo maine thi baha di mitti mein
mehman ka shehpar tod diya
mehman ka shehpar tod diya
mehman ka shehpar tod diya

ye rangin rezain hain shayad
un shokh bilouri sapnon ke
tum mast jawani mein jinse
khilwat ko sajaya karte the
naadaari daftar bhukh aur gam
un sapnon se takrate the
beraham tha chaumukh pathraav
yeh kanch ke dhanche kya karte
Ya shayad in zarron main kahin
moti hai tumhari izzat ka
wo jis se tumhare izzat pe bhi
shamshad kado ne raqs kiya
is mal ki dhun mein phirte tha bahut
tajir bhi bahut rahzan bhi kai
hai chor nagar yaan muflis ki
gar jan bachi tau aan gayi

ye sagar shishe laal o guhar
salim hon to kimat paate hain
yu tukde tukde ho to faqat
chubhte hain lahu rulwate hai
tum na haq tukde chun-chun kar
daman mein chupaye baithe ho
shisho ka masiha koi nahi
kya aas lagaye baithe ho
kya aas lagaye baithe ho
kya aas lagae baithe ho
yaadon ke girebaanon ke rafoo
par dil ko guzar kab hoti hai
ik bakhiya udherda ek siya
yun umr basar kab hoti hai
iss kargah-e-hasti mein jahan
ye sagar shisha dhalte hai
har shay ka badal mil sakta hai
sab daaman pur ho sakte hai
Jo haath bardhe yawar hai yaha
jo aankh uthhe wo bakhtawar

ya dhan daulat ka ant nahi
honn ghaat mein daaku lakh magar
kab loot jhapat se hasti ki
dukanei khali hoti hai
ya parbat parbat hire hai
ya sagar sagar moti hai
kuchh log hai jo is daulat par
pardey latkate phirte hain
har parbat ko har sagar ko
neelam chadhate phirte hain
kuchh wo bhi hai jo lad bhid kar
ye pardey noch giraate hain
haddi ke uthai giron ki
har chal uljhaye jate hain
har chal uljhaye jate hain
har chal uljhaye jate hain

In dono mein ran pardta hai
nit basti basti nagar nagar
har basti ghar ke sine mein
har chalti rah ke mithe par
ye kalak bhartey phirte hai
wo jot jagate rehte hai
Ye aag lagate phirte hai
wo aag bujhate rehte hai
sab sagar shisha lal o guhar
iss baazi mein bhid jaate hai
utho sab khali hathon ko
is ran se bulawe aate hai
lyrics of song Sheesho Ka Maseeha
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Dastkhat (Album) (2012)
Pankaj UdhasFaiz Ahmed Faiz Amarjeet Bajwa
Popular Links on HindiGeetMala

HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type