Lyrics of So Gaya Sara Zamana Nind Kyu Aati Nahi - सो गया सारा ज़माना नींद क्यों आती नहीं
so gaya sara zamana nind kyu aati nahi
so gaya sara zamana nind kyu aati nahi
aye hawa jakar use tu sath kyu laati nahi
so gaya sara zamana nind kyu aati nahi
so gaya
chand pahle bhi nikalta tha magar aisa na tha
chand pahle bhi nikalta tha magar aisa na tha
aaj aisi baat kyu hai kuch samjh aati nahi
so gaya sara jamana nind kyu aati nahi
so gaya
chandani kuch chand se kah kar jami par aa gayi
chandani kuch chand se kah kar jami par aa gayi
jane kya dekha yaha ab laut kar jati nahi
so gaya sara zamana nind kyu aati nahi
aye hawa jakar use tu sath kyu laati nahi
so gaya sara zamana nind kyu aati nahi
so gaya
Dear 'rumahale', it's not 'Jaimini' Ganesh but 'Gemini Ganesh'. He may have
been virtually unknown to the Hindi film goer but he was a very well known
actor in Tamil movies. By the way, he is the father of Rekha! 'Miss Mary'
was a very good comedy. And Meena Kumari shone in it. Such a pity that she
got stuck in tragic roles!