Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.00 - 5 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Sunate Aaj Tumko Hum Mahabharat - सुनाते आज तुमको, हम महाभारत
sunate aaj tumko, hum mahabharat ki gatha
sunate aaj tumko, hum mahabharat ki gatha
hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha

yaha the veer adhbhut, randhir adhbhut
wo pran ko paalte the, pahad uchalte the
wo nar the aad wale, vilakshan maad wale
wo jeena jante the, wo marna jante the
pratapi nar se darkar, kaal muththi me bandha tha
hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha

wo ek mahan yug tha
bada balwan yug tha
jagat tha daas apna
padho itihas apna
na din wo pyar ke the
wo din talwar ke the
yaha jab ran hua tha
chakit tribhuvan hua tha
hatheli par liye matha yaha
har nar khada tha
hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha

anokhi ye katha hai, badi isme jatha hai
yaha bhagwan bhi the, yahi shaitan bhi the
gajab ki yaariya thi
prakhar chingariya thi
naman hai aaj inko
hai vandan aaj inko
ke jinki jeet ka
sansar me danka baja tha
hazaro varsh pahle, dekh lo ye desh kya tha
lyrics of song Sunate Aaj Tumko Hum Mahabharat
Comments on song "Sunate Aaj Tumko Hum Mahabharat"
old songs on YouTube on Tuesday, May 26, 2015
My favorite since childhood, as I remember watching the movie and getting
mesmerized by this song. What a great rendition by Manna De !
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Veer Bhimsen (1964)
Dara Singh, Mahipal, Shahu Modak, Anita Guha, Sumitra Devi, Mumtaz, B M Vyas, Randhwa, Ratna Mala, TiwariAsha Bhosle, Lata Mangeshkar Manna Dey, Kavi PradeepKavi PradeepC RamachandraChandrakantVeer Bhimsen at IMDB      Veer Bhimsen at YouTube     |    Veer Bhimsen at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type