Video of this song from youtube
Video of this song is not available at any authorized channel at YouTube right now or the channel is not allowing embedding on our website.

We will add as soon as the video of the song is available.
Advertisement
Suraj Ke Jaise Hai
thumb coming soon

1.00 - 1 votes
Singer Music by Lyricist Actor Category Movie
Lyrics of Suraj Ke Jaise Hai
suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
tujhe kaisa grahan laga
tujhe kaisa grahan laga
yeh waqt kya pada tere samne
zaher khula kaisa yeh teri chah mein
teri hasi ko teri khushi ko
waqt ne yu chhina kyu bata
chanda ke jaisa hai tu ek aadmi
tujhe kaisa grahan laga
tujhe kaisa grahan laga

nafrat si sab ke dil mein
paida yeh ho gayi hai
samjhe na koi bhi yaha
sach kya hai jhuth kya hai
yeh kaisi dastan hai
jaane na koi bhi yaha
ek rab janata tune na ki khata
phir bhi kyu mujrim
tu ban gaya bata
dil mein andhera
kyu ho gaya bata
suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
tujhe kaisa grahan laga
tujhe kaisa grahan laga

tere kadam sahi hai
phir bhi galat bane hai
duniya ki nazro mein
tu raam roop hai jo
kalyug mein aa gaya hai
tu hai fasa uljan mein
ek rab janata tune na ki khata
phir bhi kyu mujrim
tu ban gaya bata
dil mein andhera
kyu ho gaya bata
suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
tujhe kaisa grahan laga
tujhe kaisa grahan laga

aankhon se tune apne
amreet diya khushi ka
dharm kiya karm kiya
ha dharm raaj tu hai
yamdharm raaj bole
kyu tujhko yeh duniya
ek rab janata tune na ki khata
phir bhi kyu mujrim
tu ban gaya bata
dil mein andhera
kyu ho gaya bata
suraj ke jaisa hai tu ek aadmi
tujhe kaisa grahan laga
tujhe kaisa grahan laga
tujhe kaisa grahan laga
Advertisement
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
Advertisement