Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.40 - 10 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Tin Taal Par Naach - तीन ताल पर नाच
tin taal par naach
tin taal par naach budhaape
bachpan aur jawaani ka
rang hazaaro
rang hazaaro magar zindagi
ek bulbulaa paani ka
tin taal par naach

hari bhari daali ko yun hi
hari bhari daali ko yun hi
patjhad me lut jaana hai
khila phul jo aaj chaman me
khila phul jo
khila phul jo aaj chaman me
kal usko murjhana hai
subah hui aur khatm fasana
subah hui aur khatm fasana
shabanam ki zindagani ka
tin taal par naach

saari duniya ko hathiyane
saari duniya ko hathiyane
murakh inasaan daude re
dogaz dharti bane bichhauna
dogaz dharti
dogaz dharti bane bichhauna
upar maati odhe re
mile dhul me sapan suhana
mile dhul me sapan suhana
duniya ki sultaani ka
tin taal par naach

ek bund ki pyaas pyaar ki
ek bund ki pyaas pyaar ki
taal talaiyaa reete re
badhi magar wo bujh na paai
badhi magar wo
badhi magar wo bujh na paai
janam hazaaro bite re
de na paaye saat samundar
de na paaye saat samundar
ek bhi qatraa paani ka
tin taal par naach
tin taal par naach budhaape
bachpan aur jawaani ka
rang hazaaro magar zindagi
ek bulbulaa paani ka
tin taal par naach
lyrics of song Tin Taal Par Naach
Comments on song "Tin Taal Par Naach"
phirmilenge on Wednesday, June 05, 2013
Many thanks Saqib bhai and all those sharing this fantastic song in full. I
am listening many times since yesterday and quite sure this is one of the
best songs of Rafi saab with great lyrics and composition. Wish our music
industry released good quality of these old gems of Rafi saab instead of
all the garbage songs of today.
surindersidhu00 on Thursday, June 06, 2013
Saari dyniyan ko hathaine Murakh insaan daude re Do gazz dharti bane
vechauna upper maati odhe re..Kiya baat hai. Who is the writer of this
song...Saqib Bahi aap ka aur Ahsan bhai ka geet upload karne ke liye bahut
bahut shukriya..
M. S. Zaman on Tuesday, August 13, 2013
Wow, simply awesome..koi aise chun chun kar kaise gaa sakta hai.Urdu
aur Hindi ka shayad hi koi muhawra ya flasafa ho jise Rafi Sahab ne apni
makhmali awaz mein hamein amanat na diya ho...Aaiye aaj hum pran karein
ki hum Rafi Sahab ki is anmol wirasat ko apni aane wali naslon tak
pahunchayenge aur Rafi Sahab ke geeton ko internet ke madhyam se itna
phailayenge ki Rafi Sahab ki azmat puri duniya par sabit ho jayegi
ekdesiandy on Sunday, June 16, 2013
Thank you very much brother Anil ji for your sweet comment. Much appreciated. I will do all I can to share the best possible enhanced audio of our beloved Rafi saab with all his devoted fans. I am searching from friends to find a good audio of full song and god willing someday upload the enhanced version of the full song. Thank you for your comments.
Dinesh Mahajan on Thursday, June 06, 2013
Ahsan Bhai main aapka bahut bahut shukar guzaar hoon. Aapke paas jo khazana
hai uska koi muqabla nahin. Aap ise dono hathon se baant rahe hain. Khuda
aapko duniya ki har nemat de, aapko duniya ka har sukh nasseb ho. Khuda
aapko aur aapke pariwar ko hamesha khush rakhe. Channel ka naam SANGEET KA
FARISHTA RAFI rakhe.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Ek Bulbula Paani Ka (1970)
Mohammed Rafi
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type