Video of this song from youtube
Tum Se Hi - तुम से ही
thumb coming soon

3.00 - 1 votes
Singer Music by Lyricist Actor Category Movie
Lyrics of Tum Se Hi - तुम से ही
do dil safar mein nikal pade
jana kahaan kyun fikar karein
kahaan thikana ho raat ka
subah kahaan pe basar karein
khoya khoya dil mera kehta hai

haan tum se hi bas tum se hi
meri jaan hai bas tum se hi
dil ko mere aaraam hai
pareshaan hai bas tum se hi

jo dard ko sukoon de
wo dard tum se milta hai
ae dil zara itna bata
kyon ishq unse hota hai

saanson ko ab jeene ka
jaise sahara mil gaya
khoya khoya dil mera kehta hai

hmm.. tum se hi bas tum se hi
meri jaan hai bas tum se hi
dil ko mere aaraam hai
pareshaan hai bas tum se hi

aashiqi hoti hai kya
dil ko mere malum na tha
ek bhi teri tarah
chehra koyi masoom na tha

haan yoon laga is jaan mein
ik jaan si dakhil huyi
ab to har lamha mujhse kehta hai

haan tum se hi bas tum se hi
meri jaan hai bas tum se hi
dil ko mere aaraam hai
pareshaan hai bas tum se hi

tum se hi..
lyrics of song Tum Se Hi
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films