Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
4.00 - 3 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Tumhe Dillagi Bhul Jaani Padegi - तुम्हें दिल लगी भुल जानी पड़ेगी
tumhe dillagi bhool jani padegi
tumhe dillagi bhool jani padegi
muhabbat ki raho mein aa kar to dekho
tumhe dillagi bhool jani padegi
tumhe dillagi bhool jani padegi
muhabbat ki raho mein aa kar to dekho
tumhe dillagi bhool jani padegi
muhabbat ki raho mein aa kar to dekho
tadpane pe mere na fir tum hansoge
kabhi dil kisi se lga kar to dekho

tumhe dillagi bhool jani padegi
muhabbat ki raho mein aa kar to dekho
hontho ke pas aaye hansi kya majak hai
dil ka muaamala hai koi dil lagi nahi
tumhe dillagi bhool jani padegi
muhabbat ki raho mein aa kar to dekho
jakhm pe jakhm khake ji apne lahu ke ghunt pee
aah na kar labo ko si ishq hai dil lagi nahi

tumhe dil lagi bhul jani padegi
muhabbat ki raho mein aa kar to dekho
dil laga ke pata chalega tumhe
aashiki dil lagi nahi hoti
kuch khel nahi hai ishq ki laag
pani na samjhiye aag hai aag
khub rulayegi ye lagi dil ki
khel samjho na dil lagi dil ki

ye ishq nahi aasa bas itna samjh li je
ek aag ka dariya hai aur dub ke jana hai
tumhe dil lagi bhul jaani padegi
muhabbat ki raho mein aa kar to dekho
tadpane pe mere na fir tum hansonge
kabhi dil kisi se laga kar to dekho
wafaao ki hamse tavkko nahi hai
magar ek baar aajma kar to dekho
jamaane ko apna bana kar to dekho
hame bhi tum apna bana kar to dekho

khuda ke liye chhod do ab ye parda
rukhse nakab utha ke badi der ho gayi
mahol ko tilawate kura kiye huye
khuda ke liye chhod do ab ye parda
ham na samjhe teri najro ka takaja kya hai
kabhi parda kabhi jawala ye tamasha kya hai
khuda ke liye chhod do ab ye parda
jane ja hamse ye uljhan nahi dekhi jati
khuda ke liye chhod do ab ye parda
ke aaj ham tum nahi gair koi
shabe wasl bhi hai hijab is kadar kyu
jara rukh se aanchal utha kar to dekho

jafaye bahut ki bahut julm dhaye
kabhi ik nigahe karm is taraf bhi
hamesha huye dekh kar mujhko barham
kisi din jara muskura kar to dekho
jo ulfat mein har ik sitam hai gawara
ye sab kuch hai pase wafa tumse warna
satate ho din raat jis tarah mujhko
kisi gair ko yu sata kar to dekho

agar kisi baat par wo kahafa hai
to achcha yahi hai tum apni si karlo
wo mane na mane ye marji hai unki
magar unko purnam mana kar to dekho
tumhe dil lagi bhul jani padegi
muhabbat ki raho mein aa kar to dekho
Comments on song "Tumhe Dillagi Bhul Jaani Padegi"
Asad Khan on Friday, April 15, 2011
this is the first time I heard Rahat sing the same songs that Nusrat Fateh
Ali Khan sang. It just hurts to see him screw up Nusrat's legacy. Please
don't sing his songs. I have nothing against you, but you need a lot of
hard work before you can sing these songs in public.
zjamuing on Thursday, December 17, 2009
Ek baar Nusrat ka chaska lag gaya, to phir "Jis dil pe tu nazar daale; us
dil ka Khuda Haafiz". Nusrat Saahib ROOH ko sunaate aur lubhaate hain,
jabki baaqi singers apni saari energy kaanu ko lubhaane me laga dete hain..!
connectfast on Tuesday, November 03, 2009
Hume Tou Nusraat Sahab k Awaaaz K AShiq Hain ,, un K baad kuch bhi nahi
bhaaaata chaiye Woh Naeeem Abbas rufi Ho ya phr Raha fateh Hooo nusrat
shaab i m really missing ur's Version
Raza Ali on Saturday, December 28, 2013
since childhood Rahat was with Ustad Nusrat fateh Ali Khan , but he did'n
learn any thing , he can sing song but he cannot sing Nusrat Ghazals even
he cannot copy 
connectfast on Thursday, December 17, 2009
Kya baat hai janaab 101 % Correct , Singing To Bus Khan Sahab per Hi khatam
hai ,, Na aise Qawaali koi gaa sakta hai aur na Koi Aise Ghazaal
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer
Remembering Nusrat - A Tribute To Ustad Nusrat Fateh Ali Khan (2009)
Rahat Fateh Ali Khan
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type