Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Umangon Ko Sakhi Pi Ki Nagariyaa Kaise Le Jaaun
4.42 - 1063 votes
NimmiHappy Songs
Video of this song from youtube
Lyrics of Umangon Ko Sakhi Pi Ki Nagariyaa Kaise Le Jaaun - उमंगों को सखी पी की नगरिया कैसे ले जाऊँ
umango ko sakhi pi ki nagariyaa kaise le jaaun
umango ko sakhi pi ki nagariyaa kaise le jaaun
kamar lachake mori
haay kamar lachake mori
bhaari gagariyaa kaise le jaaun
kamar lachake mori
bhaari gagariyaa kaise le jaaun

dagar me rup ke lobhi nagar me man ke maile hai
nagar me man ke maile hai
yahaan paapi najariyo ke hazaaro jaal phaile hai
hazaaro jaal phaile hai
bhare baazaar me baali umariyaa kaise le jaaun
kamar lachake mori
haay kamar lachake mori
bhaari gagariyaa kaise le jaaun
umango ko sakhi pi ki nagariyaa kaise le jaaun

mohe duniya se dar laage yahaan laakho hai matawaale
yahaan laakho hai matawaale
na jaane koi alabelaa mohe kis rang me rang daale
mohe kis rang me rang daale
ragilo me bhalaa kori chunariyaa kaise le jaaun
kamar lachake mori
haay kamar lachake mori
bhaari gagariyaa kaise le jaaun
umango ko sakhi pi ki nagariyaa kaise le jaaun

lagaa ke haatho me mehndi rachaa ke naino me ratiyaa
rachaa ke naino me ratiyaa
dulahaniyaa banake nikali hu milenge aaj man basiyaa
milenge aaj man basiyaa
sajan ke dwaar se pyaasi najariyaa kaise le jaaun
kamar lachake mori
haay kamar lachake mori
bhaari gagariyaa kaise le jaaun
umango ko sakhi pi ki nagariyaa kaise le jaaun
lyrics of song Umangon Ko Sakhi Pi Ki Nagariyaa Kaise Le Jaaun
Comments on song "Umangon Ko Sakhi Pi Ki Nagariyaa Kaise Le Jaaun"
Buckminsterfullerene .crystal on Tuesday, March 26, 2013
Naushad Sahab and Shakeel Sahab given new life, i must say immortal life,
to the folk songs of UP. Great Composition.
mwbright on Wednesday, September 23, 2015
Just imagine, the world could be like this all the time, if the women would
just cooperate.

Please cooperate, ladies. Just sing and dance all the time and we'll all
live happily ever after.
Suresh Angira on Tuesday, January 29, 2013
charishma of bw songs blended with divine music n voice
Alka Singal on Tuesday, March 22, 2011
Beautiful song and very clear video. Feast for eyes and ears.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Amar (1954)
Dilip Kumar, Nimmi, Madhubala, Jayant, Ulhas, Murad, Mukri, Husn BanuAsha Bhosle, Lata Mangeshkar, Mohammed RafiShakeel BadayuniNaushad AliMehboob KhanMehboob KhanAmar at IMDB      Amar at WikipediaAmar at YouTube     |    Amar at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type