Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.00 - 1 votes
Video of this song from youtube
Lyrics of Ye Aaj Ka Bharat Hai - ये आज का भारत हैं
khushali hai aur man hai
har dil me mehnat ki lagan hai
sari dharti jaise chaman hai, jaise chaman hai
ye aaj ka bharat hai o sathi
aaj ka bharat hai
ye aaj ka bharat hai o sathi
aaj ka bharat hai
o aa o aa o aa o aa

oye kal si kami anaj di
aur ae halat hai aaj di
rakhne ko godam nahi
mahangai ka kahin naam nahi
aur pahle jaise daam nahi
kaale dhandhe chor bazari
bhul gaye sare vyapari
hansi khushi ka raaj hai
hansi khushi ka raaj hai
sar pe tiranga taaj hai
ye aaj ka bharat hai o sathi
aaj ka bharat hai
ye aaj ka bharat hai o sathi
aaj ka bharat hai

hey ji re hey
baji shahnayi nirdhan ki beti
bin dahej ki bayahi gayi
beghar garibo ko ghar mil gaye
har gaanv me bijli layi gayi
kal tak the wo bhumi hin
aaj hai unki apni jamin
bekaro ko mile hai kaam
majduro ke bade hai daam
kitne majbur logo ki gardan se
karz ki faansi hatayi gayi
hans khushi ka raaj hai
hansi khushi ka raaj hai
sar pe tiranga taaj hai
ye aaj ka bharat hai o sathi
aaj ka bharat hai
ye aaj ka bharat hai o sathi
aaj ka bharat hai

aayi ko
jaan gaya ab sara sansar
bacche kam khushal gharana
hadtale aur dange fasad
rahe na ab janta ko yaad
mel milap aur samjhote
huye padosi mulko se
bees sutar hai bees hathiyar
jinse hua hai beda paar
ek saal me huye ye kaam
uncha hua sarkar ka naam
uncha hua sarkar ka naam
ye aaj ka bharat, ye aaj ka bharat
ye aaj ka bharat, ye aaj ka bharat
ye aaj ka bharat, ye aaj ka bharat
lyrics of song Ye Aaj Ka Bharat Hai
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Mazdoor Zindabaad (1977)
Asha Bhosle, Anupama Deshpande, Jaspal Singh, Mohammed Rafi, Shailendra Singh, YesudasAssad BhopaliUsha KhannaMazdoor Zindabaad at IMDB      Mazdoor Zindabaad at Wikipedia
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type