Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
screen shot of song - Yeh Aashiq Husnwaalon Se

Video of this song from youtube
Average Rating : 4.60
Total Vote(s) : 5
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.


Lyrics of Yeh Aashiq Husnwaalon Se - ये आशिक हुस्नवालो से
yeh aashiq husnwalo se
yeh aashiq husnwalo se, bagawat karne wale hai
yeh aashiq husnwalo se, bagawat karne wale hai
kasam allaah ki, kasam allaah ki
hum sidhe sadhe, bhole bhale hai
yeh aashiq husnwalo se, bagawat karne wale hai
yeh aashiq husnwalo se

dil se kab teri, jafaao ka asar jaayega
kabr tak rishta hua, jakhme jigar jaayega
yahi ha ha yahi, yahi ha ha yahi
yahi ha ha yahi, yahi ha ha yahi
ha ha yahi, ha ha yahi
yahi ha ha yahi jo, dekhne me bhole bhale hai
yahi ha ha yahi jo, dekhne me bhole bhale hai
badi hi saadagi se
badi hi saadagi se, dil hajaro tod daale hai
yahi ha ha yahi jo, dekhne me bhole bhale hai
yahi ha ha yahi

yahi hai waqt ke jinke, fan ko hamne jagaaya hai
yahi hai waqt ke jinke, fan ko hamne jagaaya hai
wafa karke panaah dekar, kaleje se lagaaya hai
yahi hai woh jinhone, pyar ki daulat ko thukrakar
hamara dil nahi balke, khuda ka dil dukhaya hai
khuda ki maar hai, khuda ki maar hai
inn par yeh jannat, ke nikale hai
yeh aashiq husnwalo se, bagawat karne wale hai
yeh aashiq husnwalo se

yahi woh but hai mitti ka, ke jiska pyar jhuta hai
yahi woh but hai mitti ka, ke jiska pyar jhuta hai
isi pe dard ke haatho, hamara dil bhi tuta hai
bahana ishq ka karke, wafa ka waasta dekar
yahi hai woh yahi ke jisne, fankaaro ko luta hai
janaaje armaano ke, janaaje armaano ke
apni chaukhat se, nikale hai
yahi ha ha yahi jo, dekhne me bhole bhale hai
yahi ha ha yahi

jahaan walo suno, jahaan walo suno
hamne haqiqat iski jani hai, naqaab iska ulat dene ki
hamne thaani hai
junun me iski hamne, khaak sehraao ki chhani hai
yeh kaisa hai karam iska, yeh kaisi meherbaani hai
kisi ke paav me honge
kisi ke paav me honge, hamare dil me chhale hai
agar himmat hai tujhme aa, idhar dil dil se takra de
haqiqat kya hai apni tu hi, ab duniya ko batla de
bhari mehfil me sabke samne, main khul ke kehata hoon
mere iljaam rad kar de, meri baato ko jhuthla de
sitangar bol kuchh toh bol
o jaalim bol kuchh toh bol, kyun honto pe taale hai
yahi ha ha yahi, yahi ha ha yahi
ha ha yahi, ha ha yahi

yahi ha ha yahi jo, dekhne me bhole bhale hai
yahi ha ha yahi jo, dekhne me bhole bhale hai
badi hi saadagi se, dil hajaro tod daale hai
yahi ha ha yahi jo, dekhne me bhole bhale hai
yahi ha ha yahi
lyrics of song Yeh Aashiq Husnwaalon Se
Comments on song "Yeh Aashiq Husnwaalon Se"
420punamshah on Friday, July 29, 2011
maan gai tumhe yaar...tum kamal ke ho, i've never heard this song before
!!! ishe kehte hai sache udit ke fan, kyu ki tum hamesha udit ke rare songs
dhoondte rehte ho :) that's good. udit ji ki jai ho :) luv his voice so
much..great song and wonderful upload.
uditfans on Monday, October 31, 2011
yar kaamal ka song hai 1st time suna jab se looping laga di ye song khatam hota hai phir start
udit ji great hain ye pata to tha per ye song sune k baad laga ye rafi sb k stander k singer hian
nooralam77 on Sunday, July 31, 2011
udit narayan ji & kavit ji my fevoret singer
nooralam77 on Sunday, July 31, 2011
udit narayan ji & kavit ji my fevoret singer
Mr143KING143 on Monday, August 01, 2011
V NICE DEAR... LOVE ALL FANS OF UDIT..
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External Links
Afsana Dilwalon Ka (1996)
Alka Yagnik, Kavita Krishnamurthy, Udit Narayan, Manhar UdhasShyam SurenderAfsana Dilwalon Ka at IMDB      
Popular Links on HindiGeetMala

HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type