Video of this song from youtube
Yeh Hai Rab Ka Bandaa - यह है रब का बन्दा
Lyrics of Yeh Hai Rab Ka Bandaa - यह है रब का बन्दा
na rukta hai na mudta hai
bas chalta rehta hai
na sunta hai na kehta hai
bas karta rehta hai

poochega itihaas kabhi
kya banda hai yeh

rab ka banda hai yeh
sab ka banda hai yeh
rab ka banda hai yeh
sab ka banda hai yeh

meetha mila koi kadwa mila lamha
lamha woh sab jee gaya
bekhauf bedaag fauji
jaise vardi pe watan see gaya

ho dhoondega waqt isey
gazab ka banda hai

rab ka banda hai yeh
sab ka banda hai yeh
rab ka banda hai yeh
sab ka banda hai yeh


Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films