Video of this song from youtube
Yeh Masti Ka Aalam Umango - ये मस्ती का आलम उमंगो
Singer Music by Lyricist Actor CategoryMasti Bhare Geet Movie
Lyrics of Yeh Masti Ka Aalam Umango - ये मस्ती का आलम उमंगो
ye masti ka aalam umango ka mausam
ye masti ka aalam umango ka mausam
jawani ki rut hai kahi dil laga le
jawani ki rut hai kahi dil laga le

bhatakti rahengi kaha tak nigahe jalim
nahi dil lagata najar to mila le
nahi dil lagata najar to mila le
ye masti ka aalam umango ka mausam

machalti ye najre lachakte ye abru
dhalakta ye aachal mahakte ye geshu
mahakte ye geshu
mera husn chalta hua ek jadu
adao se mare najar se gila le
adao se mare najar se gila le
ye masti ka aalam umango ka mausam

dhadakta ye pahlu tadapti ye bahe
kaha tak jawani bhare sard aahe
bhare sard aahe
hazaro yaha dil lagane ki rahe
hazaro yaha dil lagane ki rahe
ye dunia hai dunia ko jannat bana le
ye masti ka aalam umango ka mausam
jawani ki rut hai kahi dil laga le
ye masti ka aalam umango ka mausam
lyrics of song Yeh Masti Ka Aalam Umango
Browse Movies by Alphabet / Decades / Years
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films