Thumb Song Heading Singer Composer Lyricist Actor Film (Year) Category
thumb coming soon
3.60 - 5 votes
Sad Songs
Video of this song from youtube
Lyrics of Zamana Kaisa Zamana Yeh Aaya Kaisa Zamana - ज़माना कैसा ज़माना ये आया कैसा ज़माना
yaha sab jhagde roti ke hai
raha pyar na koi yarana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
ise azma ke dekha hai thok baja ke dekha
ho raha pyar na koi yarana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

chahe resmi shal odhle chahe bandhe langoti
jine ke liye chahiye re bhaiya do waqt ki roti
phir kyu chandi sona ikatha karke bhare khajana
do roti hi khani hai koi sona to nahi khana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

amir ka bas jo chale garib ko to jine bhi na de
roti ki to bat chhodo pani bhi pine na de
dhokhe fareb se lute garib ko daulat ka diwana
pani ko piye chhaan chhaan ke khun piye anchhana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

jis majdur ki mehnat se bante hai mahal chobare
wahi bechara sadak kinare apni rat guzare
garib pe daulatmando ne aur kitna julm hai dhana
jiske pasine se bangle bane nahi uska koi thikana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

jinke dil me pap bhara hai inki niyat khoti
sab daulatmand chhin rahe hai dekho garib ki roti
roti ke jhagde se ujde basta hua gharana
beti ma se beta bap se ho jaye begana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana

pooja path or dan kare bante hai din dayalu
din ko jitne sardhalu hai rat ko utne chalu
is kamre me bana hai mandir usme hai maykhana
idhar parbhu ko bhog lagaye udhar bhare paymana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
ise azma ke dekha hai thok baja ke dekha
ho raha pyar na koi yarana

zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
ise azma ke dekha hai thok baja ke dekha
ho raha pyar na koi yarana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
zamana kaisa zamana ye aaya kaisa zamana
lyrics of song Zamana Kaisa Zamana Yeh Aaya Kaisa Zamana
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Sitapur Ki Geeta (1987)
Hema Malini, Rajesh Khanna, Rajan Sippy, Pran, Shoma Anand, Amjad Khan, Chandrashekhar, Jankidas, Shakti Kapoor, Raza Murad, Yunus Parvez, Tej Sapru, Om Shiv PuriAsha Bhosle, Amit Kumar, Mohammed Aziz, Dilraj Kaur, Mohammed Aziz, Mahendra Kapoor, Parveen SabaVarma MalikOmi SonikShibu MitraS R KapurSitapur Ki Geeta at IMDB      Sitapur Ki Geeta at WikipediaSitapur Ki Geeta at YouTube     |    Sitapur Ki Geeta at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type