Video of this song from youtube
Lyrics of Zaraa Nazaron Se Kah Do Ji Nishaanaa Chuk Na Jaaye - ज़रा नज़रों से कह दो जी निशाना चूक ना जाये
zara nazro se kah do ji nishana chuk na jaye
zara nazro se kah do ji
maza jab hai tumhari har ada katil hi kahlaye
zara nazro se kah do ji nishana chuk na jaye
zara nazro se kah do ji

katil tumhe pukaru ke jaan-e-wafa kahu
hairat me pad gaya hu ke main tumko kya kahu
zamana hai tumhara
zamana hai tumhara chaahe jiski zindagi le lo
agar mera kaha maano to aise khel na khelo
tumhari is shararat se na jaane kis ki maut aaye
zara nazro se kah do ji nishana chuk na jaye
zara nazro se kah do ji

haay, kitni maasum lag rahi ho tum
tumko zaalim kahe wo jhutha hai
ye bholapan tumhara
ye bholapan tumhara ye shararat aur ye shokhi
zarurat kya tumhe talvar ki tiro ki khazar ki
ye bholapan tumhara ye shararat aur ye shokhi
zarurat kya tumhe talvar ki tiro ki khazar ki
nazar bhar ke jise tum dekh lo wo khud hi mar jaye
zara nazro se kah do ji nishana chuk na jaye
zara nazro se kah do ji

hampe kyun is kadar bigadti ho
chhedne wale tumko aur bhi hai
baharo par karo gussa ulajhti hai jo aankho se
hawao par karo gussa jo takarati hai zulfo se
kahi aisa na ho koi tumhara dil bhi le jaye
zara nazro se kah do ji nishana chuk na jaye
zara nazro se kah do ji
lyrics of song Zaraa Nazaron Se Kah Do Ji Nishaanaa Chuk Na Jaaye
Comments on song "Zaraa Nazaron Se Kah Do Ji Nishaanaa Chuk Na Jaaye"
ashishtiwari78 on Wednesday, September 08, 2010
jara najaron se keh do ji nishaana chuk na jaaye jara najaron se keh do ji
humpe kyun iss kadar bigadati ho chhedane waale tumako aur bhi hai bahaaron
par karo gussa ulajhati hai jo aankhon se hawaao par karo gussa jo
takaraati hai julfon se bahaaron par karo gussa ulajhati hai jo aankhon se
hawaao par karo gussa jo takaraati hai julfon se kahi aisa na ho koyi
tumhaara dil bhi le jaaye jara najaron se keh do ji nishaana chuk na jaaye
jara najaron se keh do ji
ashishtiwari78 on Wednesday, September 08, 2010
kaatil tumhe pukaaru, ke jaane waha kahoon hairat mein pad gaya hoon ke
main tumako kya kahoon jamaan hai tumhaara -2 chaahe jisaki jindagi le lo
agar mera kahaan maano toh aise khel na khelo jamaan hai tumhaara chaahe
jisaki jindagi le lo agar mera kahaan maano toh aise khel na khelo tumhaari
ik sharaarat se na jaane kisaki maut aaye jara najaron se keh do ji
nishaana chuk na jaaye jara najaron se keh do ji
TUFAIL HEERA on Monday, January 19, 2015
It is so beautiful and very entertaining SUPER HIT SONG OF ALL TIMES.
Certainly the same is my favorite song. I had listened so many outstanding
and fantastic songs of Mr. Hemant Kumar but this is first one impressed me
lot. Further Mr. Hemant Kumar has sung this brilliant song perfectly. I
like this song very much. Thanks a lot for Unique / Rare upload.
ashishtiwari78 on Wednesday, September 08, 2010
haay kitani maasum lag rahi ho tum tumko jaalim kahe woh jhuta hai (yeh
bholaapan tumhaara -2 yeh sharaarat aur yeh shokhi jarurat kya tumhe
talwaari ki tiron ki khanjar ki) - (2) yeh bholaapan tumhaara yeh sharaarat
aur yeh shokhi jarurat kya tumhe talwaari ki tiron ki khanjar ki najar bhar
ke jise tum dekh lo woh khud hi mar jaaye
apparaoarani on Wednesday, October 27, 2010
House keeper /Sarvent in this film is " Laxman " acted by Dev Kishan , who also wrote Dilogues for this Film ( As well as for Akhari Daav ) . He acted as servant in many films like Parichay, Anand, Chupke chupke etc. -Arani.Apparao-Hyderabad-A.P.
Movie Film Cast Singer Lyricist Composer Director Producer External LinksVideo Links
Bees Saal Baad (1962)
Biswajeet, Waheeda Rehman, Asit Sen, Manmohaan Krishan, Madan Puri, Sajjan, Krishnan, Lata Sinha, Dev Kishan, Prakash, Prem Kumar, PathakHemant Kumar, Lata MangeshkarShakeel BadayuniHemant KumarBiren NagBees Saal Baad at IMDB      Bees Saal Baad at WikipediaBees Saal Baad at YouTube     |    Bees Saal Baad at YouTube - 2    
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type