Video of this song from youtube
Average Rating : 4.29
Total Vote(s) : 152
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.


Comments on song "Bane Chahe Dushman Zamana Hamara"
melodiousmeh on May 08, 2012
If u like music and u r a fan of kishore and u like the songs of kishore then just once listen Rafi without having any negativity in ur heart...be neutral then decide...but u need to be honest & positive
MrAashishkaushik on May 09, 2012
he was my all time 2nd favorite singer and still is, this is the truth but
'kishore da ki awaaz dil ko jis tarah touch karti hai waisi rafi, lata,
asha,hemant, manna dey kisi ki bhi 1% touch nahi karti, isme koi honesty
waali baat nahi hai aur yahi main rafi fans ke baare mein bhi sochta hoon
ki wo dada ko isiliye pasand nahi karte kyonki aradhna ke baad rafi khatam
ho chuke the aur iske liye wo kishore da ko zimmedaar mante hai
MrAashishkaushik on May 09, 2012
man this is the biggest joke i have ever heard i mean u r trying to say
that we don't like rafi just because we love kishore da, it clearly
suggests who is narrow minded aur mujhe pata ki tum mere un comments ke
baare mein kehna chah rahe ho jisme maine religion se related galat likha
hai well i m sorry for that but buddy to know the reason watch kishore da's
farewell video in youtube and read all the comments jahaan par kuch logo ne
likha hai- kishore kumar u w'll burn in hell, jao check karo
MrAashishkaushik on May 09, 2012
aur sirf kishore da hi kyon shammi kapoor ji ke baare mein bhi kuch logo ne
aisa hi likha hai, rafi to shammi ji ki awaaz the na phir bhi un logo ne
unhe bhi nahi chodha, jao bhai jaake karo pata chal jaayega kaun narrow
minded hai aur kiski soch kahaan tak hai
MrAashishkaushik on May 09, 2012
tum kaisi baat karte ho jis saal movie aayegi usi saal to gane aayenge aise
to don(1978) mein relese huyi thi par uske sabhi gaane 1974 mein record
huye the aur kishore da ko 1979 ka best playback award mila tha na ki 1976
ka, so don't talk senseless aur tumhein maine sanu, udit aur abhijeet ke
example diye tab bhi tum usi point par atke ho, 1948 se 1969 tak 21 saal
tak kishore da ko sirf un movies mein gaane mile jinme ya to dev sahaab
hero the ya wo khud tab unhe kyon bhula diya gaya?
MrAashishkaushik on May 09, 2012
tab unhe yeh kaha jaata tha ki tumhein classical nahi aata isiliye tumhen
lead hero ke playback ke liye nahi le sakte, 21 saal kishore da jaise
talent ko sirf classical na aane ki wajah se gaane nahi diye gaye par jab
time aaya to koi unke aage tik nahi paaya aur haan kishore da ne kisi ko
nahi bola tha ki mere gaane suno rafi ke nahi, kya tumne rafi ya kishore da
ki biography padhi hai, main batata hoon.
MrAashishkaushik on May 09, 2012
ek baar kisi fan ne kishore da se kahaa ki dada aapne to rafi ki chuuthi
kar di to kishore da ne kahaa ki shayed tum bahre ho jo rafi sahaab ke
baare mein aisa kah rahe ho, aur jab rafi ki death huyi to unke sabse paas
aur sabse jyaada der tak kishore da hi baithe the aur unki aankhon mein
aansoo the, wo hamesha rafi ko apne se bada singer kahte the lekin rafi ne
kabhi bhi aisa nahi kahaa shayed unse senior hone ki wajah se, jao bhai jao
jaake dono ki biography padho tab pata chalega
melodiousmeh on May 12, 2012
Sabki Apni-2 pasand hai but Aradhna ke baad Rafi Khatam ho chuke the ye kehna Galat hai, Zabardast Media negative propaganda k bawajood Rafi ne Heer ranjha, do raste, sacha jhuta, loafer, Carvaan, mehboob ki mehndi, laal pathar, mera gaon mera desh, chhoti bahu, humjoli, hanste zakhm, samjhota, Mela, Hawas, Aap Aye Bahar Ayi, Aan milo Sajna, The Train, Khilona, Jivan Mrityu , pagla kahin ka, Abhiman, Uphaar Naina, Jaisi Filmo me 1975 Tak Hit Songs diye aur 1976 se Wapsi Ki
melodiousmeh on May 12, 2012
Sawaal yahi hai ke 1944/45 se 1969 tak ek taraf 25 saal ka career aur ek Taraf sirf teen songs...aur ek hi jhatke me media aur chand logo ne dono ko ek barabar dikhane ki koshish ki..yahi baat sabse badi senseless hai.koi logic samajh me nahi aaate koi comparison bhi nahi hai
melodiousmeh on May 12, 2012
1945 se 1969 tak kya Sirf Classical songs hi bane the ? Rafi ne Sekdo geet funny, light mood aur comic andaz ke bhi gaye, bohot si aisi films thi jinke geet clasical based nahi the ya semi clasic the..1945 se 1969 tak jo music composer the kya wo..music ke knowledge nahi rakhte the k Kisore ko pehchan na sake..kitne hi comedian ke liye ya easy tone bhi bani is daur me..
MrAashishkaushik on May 12, 2012
well i m sorry for that
MrAashishkaushik on May 12, 2012
agar aisi baat hai bhai to main bhi yeh keh sakta hoon ki 1945 se 1969 tak
logo ne kishore da ko neecha dikhane ki koshish ki, aisa nahi hota bhai
sabka apna-apna time hota hai, pahle rafi ka tha phir kishore ka aur ab to
kisi ek bhi aise singer ka naam nahi le sakte jiske baare mein kah sake ki
wo aaj ka lead singer hai.
MrAashishkaushik on May 12, 2012
to wohi to maine kaha bhai ki kishore da jyaadatar comedy movies hi karte
the isiliye us time mein unhone comedy gaane hi jyaada gaaye aur 'aradhna'
se sirf kishore da hi nahi pancham da, rajesh khanna, anand bakshi in teeno
ki kismat bhi badli, kishore da kaka ki awaaz bane aur ik aur baat hai ki
1971 mein shankar-jaikishan ki jodi toot gayi, shaami ji ne as a hero 1971
mein hi apni last movie ki aur naushaad ji ne bi jyaada kaam nahi kiya
matlab yeh hai ki time badal chuka tha
MrAashishkaushik on May 12, 2012
ab main aapke diye huye example se hi apni baat kahta hoon, appki di huyi
filmon mein se- do raste,sachha jhutha,laal pathar,chothi bahu,samjhota,aan
milo sajna,abhimaan in sabhi movies mein kishore da ke gaane jyaada famous
huye, dekho yaar main aapko bilkul simple sa ek tarika batata hoon yeh pata
karne ka ki 1970 ke baad kaun better tha, aap sirf yeh type karo- 'binaca
geetmala' 1970 se lekar 1980 tak aapko pata chal jaayega ki main kya kehna
chahta hoon, please do it to know the truth.
melodiousmeh on May 13, 2012
Neecha dikhane ki Koshish nahi ki Kyuki aisa Tab hota Jab Kishore ne (singing me) koi Mukaam Banaya hota albatta Rafi ke sath aisa sulook zarur kia gaya ke 25 saal ke Tapasya ko ek jhatke me mitti me milane ki koshish ki gai...25 saal ko aap compare nahi kar sakte sirf 3 geeto se...par media aur chand logo ne aisa hi kia
melodiousmeh on May 13, 2012
Matlab gaane ti khub rafi ke hit hue the na aap ye to nahi keh sakte ke Rafi Aradhna k Baad khtam ho chuke the , Aan Milo sajna aur sacha jhuta ke gano ko chhod do to baaki sabhi filmo ke gaane equal famous hue the Aur ek Example aapke liye..Raam Lakhan ek Film aayi thi jisme Do Gaane My name is Lakhan & O Ramji Bada Dukh..bht hit hue par dono ka apna ek class the yahi baat in aapke diye hue example ki films ke baare me kahi ja sakti hai
MrAashishkaushik on May 13, 2012
matlab aap ye kehna chahte hai ki 24 saal ke baad achanak ekdum rafi ke
dushman paida ho gaye aur unhe neecha dikhane ki koshish ki, yeh aapki
galatfahmi hai kyonki waqt ko badlana tha wo ekdum badal gaya pahle rafi ka
waqt tha phir kishore ka aur baat sirf 3 geeto ki nahi hai kishore da ne
1969 mein hi khiza ke phool pe, wo shaam kuch ajeeb thi, tum bin jaaon
kahaan jaise aur bhi kai superhit gaane diye, aaj na kishore da hai na rafi
aur aage na sonu ya shaan honge, waqt yuhi badlta hai
MrAashishkaushik on May 13, 2012
bilkul jaise har gaane ki apni class hoti hai waise hi music directors har
alag singer ke liye alag gaane banate hai aur 70's mein western gaane
jyaada aaye jo kishore da ki awaaz ko jyaada suit karte the yahi main kehna
chah raha hoon ki pahle classical aaya phir western aur ab remix to matlab
yeh hai ki har cheez ka time hota hai aur yeh baat aap samjhne ki koshish
karo, ab aap sanu ko hi le lijiye aaj unko gaane bhi nahi milte aur ek time
unko lagataar 5 award mile the aur bhi kai example hai
melodiousmeh on May 13, 2012
Jaisa ki maine already kaha tha ki 69 se pehle sirf classical song hi nahi bane balki.. Rafi ki western musical movies ko aap shayad bhul gaye hain...An evening in paris, Teesri manzil, Jaanwar , Junglee, China town, Love in Tokyo, Shagird, Gumnaam, Tmse acha kaun hai, Chhoti si mulaqat, brahmchari etc..
melodiousmeh on May 13, 2012
Rafi Indian Playback ke Real Icon Teacher guide aur isko Shape dene waley shakhs hain..wo pehle singer hai jinhone playback ko ek STAR ke Mukaam Tak pohchadiya..Dilip kumar, Raj Kapoor aur Dev sahib ke saath playback bhi ek Star icon ban gaya..Zindagi ke har mauke har theme har Uplax pe, Jeene Marne ke har samaroh k Rafi ne gaane diye...Par Afsos
melodiousmeh on May 13, 2012
Voice, Range, Verstality, Classic music knowledge aur ye sab me Rafi Perfect the, Rafi se Pehle koi aisa itna versatile aur behtareen Singer nahi tha to Rafi k liye koi Example aisa set nahi tha ke aisa karna hai waisa karna hai.. Rafi ne ek trend start kia..Rafi Ek Tren Setter the .Par Usi Rafi ko Aaj Mitaane ki Koshish ki Jaa rahi FM channels & media isme aage aage hai...Rafi ke Yogdaan ko kam karne ki koshish ho rahi hai, Rafi Jis Sammaan aur Izzat ke Haqdaar hai wo unhe nahi Mil raha.
MrAashishkaushik on May 14, 2012
are bhai kaun mana kar raha hai rafi ki greatness ke baare mein, bilkul
jaise kishore ne rajesh ko aur rajesh ne kishore ko banaya waise hi rafi ne
bhi shammi ko aur shammi ne rafi ko star banaya aur bhi kai actor hai
MrAashishkaushik on May 14, 2012
tumhaari soch bilkul galat hai bhai ki koi rafi ko mitane ki koshish kar
raha hai kyonki radio par aaj ke jo naye channel hai unpe kishore ke baad
sabse jyaada rafi ke gaane hi chalte hai aur agar aisa nahi hota to rafi se
jyaada mukesh, manaa dey, hemant kumar ke gaane jyaada chalte balki puraane
radio channels pe to geeta dutt,rafi, talat mehmood in sabke gaane jyaada
chalte hai aur bhai yeh india hai india aur sabko pata hai ki rafi isi desh
se the aur unhe india ka hi kaha jaata hai.
MrAashishkaushik on May 14, 2012
bilkul lekin western 69 se pahle waise hi tha jaise 69 ke baad classical
yaani ki 69 se pahle western gaane itne nahi bante the aur shayad o.p
nayaar hi aise the jo sirf western songs hi jyaada karte the aur unke liye
sabse jyaada asha ne gaaya par 69 ke baad r.d burman, bappi lahiri hi nahi
balki kalyanji-anandji ne bhi western gaane banane shuru kar diye aur unko
us samay jo sabse achhi awaaz lagi wo kishore da ki thi.
melodiousmeh on May 19, 2012
Rafi aur Kishore me wahi fark hai jo Lata & Asha me hai, Asha Ek Mahaan Talented Fankaar hai but Lata unse ek Kadam Aage hai waise hi Kishore Mahaan hain superb Talented hain but Rafi Ek Kadam Aage hain,
melodiousmeh on May 19, 2012
Rafi was capable to sing each type of song...baat wo nahi hai ke waq badal gaya.Baat hai ki..but last kuchh saalo se Aisa dikhane ki Koshish ho rahi hai ki jaise 1970 se hi...Indian Cinema me Music ko Include kia gaya hai aur RD burman aur Kishore hi Fankaar hai aur koi nahi...Shnakar jaikishan, Madan mohan, OP Nayyar, Naushad aur Laxmikan Pyarelaal ko bhi avaoid kia jar aha hai...
MrAashishkaushik on May 19, 2012
are bhai jaise ab tum rafi ko pasand karte ho aur main kishore ko to waise
hi baaki log bhi ya to kishore ko pasand karte hain ya rafi ka ya phir kisi
teesre ko.
MrAashishkaushik on May 19, 2012
kaise aage hain meri yahi samajh mein nahi aata? india mein kishore da ke
alawa aur koi bhi aisa nahi hai jisne bina sikhe itne saalon tak raaz kiya
ho, agar aap 1 bhi examle de do to main maan loongaa ki rafi hi nahi himesh
bhi kishore da se achhe hain.
melodiousmeh on May 20, 2012
Shammi ki Pehli Hit Film Tumsa Nahi Dekha 1957 me Aayi thi aur Rafi us se Kai Saal pehle se ek staar singer ban chuke the Albatta Rajesh Khanna ne Kishore ko zarur Hit Karaya Kaka ki Films aati rahi aur Hit pe Hit hoti rahi
melodiousmeh on May 20, 2012
Theek Usi tarah aage hain Jaise Lata Asha se aage hain
MrAashishkaushik on May 20, 2012
kaise aage hain wohi to? tumhaare kahne se koi aage thodi ho jaayega, bhai
is duniya mein rafi jaise hazaaron singers hai lekin kishore da jaisa
talent koi nahi hai
MrAashishkaushik on May 20, 2012
achha sirf kaka hi? uske baad jo agla superstar bana amaitabh uski awaaz
kaun bana kishore da. dharmendra,jitendra,shashi kapoor,sanjeev
kumar,mithun,sanjay dutt,sunny deol,jakie shroff,anil kapoor sabki awaaz
bane kishore da par hamesha aisa laga ki wohi actors gaa rahe hain par jab
bhi rafi ne gaaya to wo kabhi bhi shammi ke alawa kisi aur ki awaaz nahi
ban paaye.
melodiousmeh on May 26, 2012
Rafi is Better Singer Than Kishore
melodiousmeh on May 26, 2012
Kehne Ka Matlab ye Hai Ke Shammi Ji ne Rafi Ko nahi banaya wo pehle se Ek Staar Singer the..as i already told.jaise Shammi ki pehli Hit 1957 me.But Kaka ne Kishore ko zarur Fayda Pohchaya.wo kaka ki Awaz bane aur Kaka ne Hit pe Hit di
melodiousmeh on May 26, 2012
Aise To Rafi ne Bhi Prithwi raj kapur, Raj Kapoor, Dilp Kumar, Dharmendra, Rajesh Khanna, Shatrughan Sinha, Dev sahab, Amitabh, Vinod mehra Vinod Khanna, Jeevan, Aagha, Om Praksh, Raj Kumar, Balraj Sahni, Tariq, Shammi, Rajendra Kumar, Mithun, Guru Dat, Manoj Kumar, Sanjay Khan, Firoz Khan, Navin Nishchal Prem nath, Pran Sahab, Sunder, rajndernath, Mehmood, Jony Walker, Joy Mukharji, Vishwajeet, Rishi Ke Liye gaya Hai
MrAashishkaushik on May 27, 2012
lekin hamesha aisa laga ki rafi hi gaa rahe hai wo actor nahi,that is the
the biggest difference between the great kishore and rafi
MrAashishkaushik on May 27, 2012
lekin kaka to 5 saal ke liye superstar rahe par kishore da ne unke liye 260
gaane gaaye jo ki ek worldwide record hai,shammi-rafi,raj-mukesh se bhi
kahi jyaada jabki jo agle superstar bane amitabh unki awaaz bhi kishore da
hi bane aur jab mid 80's mein kishore da ne amitabh ke liye gaana band kar
diya to amitabh ki ek ke baad ek film flop huyi lekin dada par iska koi
asar nahi pada wo waise hi no.1 bane rahe aur jab tak gaaya tab tak kisi ko
ass-pass bhi nahi aane diya,yeh baat sab jaante hai
melodiousmeh on May 27, 2012
Its not Joke its Universal Truth.but need to positive.. neutral...and ur heart/thoughts should...be clean.
melodiousmeh on May 27, 2012
Balki Aisa hi Lag ke wohi Singer ki Awaz hai.Rafi hi wo Pehle singer hain jinhone har kalakar k liye Gaya...sir ji...chahe wo..dilip kumar , Guru Dat ya Jonny walker ya phir.mehmood.sab ke upar Awaz ekdam Sateek Baithi...Rafi ko hi Pehli baar duniya ne Kaha ke wo hi...sabki Awaz hai..Ye tume Khub pata Hai Apka Dil Jaanta hai but..Zid aade aati hai aapke
MrAashishkaushik on May 27, 2012
well, this is the real truth- 1.md always prefers to remix KISHORE DA songs
like 'bachna a hasino,meri pyaari bindu,nahi nahi abhi nahi,keh doon
tumhein,vaada tera vaada,mere sapno ki rani,roop tera mastana and many more
just because his voice is still fresh.2.in the documentary 'zindagi ek
safar' r d burman is saying- lata ji,asha ji hamesha mujhse kehti thi ki
aur singers ki humein chinta nahi hai par yeh aadmi jab gaata hai to humein
bahut sambhal ke gaana padta hai
MrAashishkaushik on May 27, 2012
i have lot's more but the thing is that kishore da ke fans to positive hai
lekin rafi fans hamesha unke baare mein galat likhte hai kyonki wo rafi ke
bure time ke liye kishore da ko zimmedaar mante hai, are bhai ek aadmi jo
khud kehta hai ki mujhe kuch nahi aata lekin jab gaata hai to aisa lagta
hai 'bhagwaan' gaa rahe hai, jo lata ki recording sunke 'mere naina sawan
bhado' lata se better gata hai classical na jaante huye bhi aise bande ki
kisi se bhi tulna nahi ho sakti
MrAashishkaushik on May 27, 2012
zindagi ek safar,mere naina sawan bhado,ajnabi tum jaane pehchane,jeevan ke
safar mein,khilte hain gul yahaan,agar tum na hote,tum bin jaaon kaha, kuch
aise gaane hai jo aur singers ne bhi gaaye lekin logon ko sirf kishore da
ka version hi yaad hai aur kuch dino pahle javed akhtar ne bhi kaha tha ki
jab bhi koi aise gaane ek saath aaye to phir kishore da ka gaana hi famous
hua hai us doosre singer ka famous nahi hua, wo isiliye kyonki sirf unhi ki
awaaz dil ko touch karti hai aur kisi ki nahi.
MrAashishkaushik on May 27, 2012
zid kisko hai aur kisliye hai sabko pata hai, rafi ki awaaz sirf shammi ji
ke liye hi fit thi,jabki baaki singers ke liye unki awaaz bilkul unfit thi
aur kabhi kisi actor ne kisi md ko majboor nahi kiya ki rafi unke liye
gaaye jabki 70's,80's mein har actor dada ko hi playback ke liye prefer
karta tha aur jab sanjay dutt,anil kapoor ne apna career shuru kiya to THE
GREAT KISHORE hi unki awaaz bane, unka har ek gaana rafi ke gaane se jyaada
famous hai yeh baat aap bhi jaante hai par------------
melodiousmeh on May 29, 2012
Mra Ye matlab tha k tumne Kaha ki Rafi ko shammi ne banaya par aisa nahi hai Rafi pehle se hi ek Bade singer the Haan kishore ko zarur kaka ki awaz banne se Fayda hua Beshak wo 5 saal k liye star Rahe ho..par Kishore ko click kardia unhone..Dusra Amitabh ko Kishore ne Banaya !..badi hairani ki baat hai ...Big B apni musical hit ke liye nahi..Balki action, strory,screenplay, Pmehra, Mdesai k liye jane jate hain N Zanjeer, Mard, Coolie, Suhag & Naseeb Jaisi HIT Filmo me Kishore ne to nahi Gaya
melodiousmeh on May 29, 2012
1.agar aap jan Pehchan Ho, O Hasina Zulfo Wali, Ajkal tre Mre pyar k Charche, badan pe sitare etc ka remix bano to wo bhi itne hi famous hone but jo remix banate hai unko in songs ki knowledhe kam hai..ya wo negetive hain 2 Manna Dey, Ravi, Mahender Kapur, LP & SJ always considered RAFI the Best...Saat Suron ke Maalik..
melodiousmeh on May 29, 2012
Dilip Kumar, Guru Dat Raj kumar, Rajender Kumar,shammi Pradeep Kumar, Bharat Bhushan, Joy Mukharjee & Vishwajeet Jony walker ne Humesh Apne Liye Rafi ko Prefer kia aur Dev Sahab, Jitendra, Dharmendra, Sanjay, Firoz khan, Rishi, Vinod, sunil dat,Rajesh & Amitabh sab pe Rafi ki Awaaz Fit baith ti thi...haan last two ki awaaz kishore bane..but The Greatest RAFI...FM channle me nahi haan puri dunia me sabse Famoous hain
MrAashishkaushik on May 30, 2012
to phir kyon nahi hote bhai yahi to main pooch raha hoon, koi negative nahi
hai yaar agar aisa hai to log to kishore da ke baare mein pata nahi kya-kya
kehte hai ki wo paagal the,kanjoos the,sanki the lekin doosri taraf kuch
log kehte hai ki wo bahut acche insaan the,doosro ki help karte the, to
bhai log unhe bhi neecha dikhaane ki koshish karte hain, aap chahe kitne
bhi great kyon na ban jao log aapki burai karengen hi karenge, wahi rafi
sahaab ke saath hai.
MrAashishkaushik on May 30, 2012
simple baat hai yaar sabki apni-apni pasand hai jaise yeh log rafi ko best
maante hai waise hi pancham da,javed
akhtar,sanu,abhijeet,kalyaan-anand,bappi,rajesh roshan aise log hai jo
kishore da ko best maante hai
MrAashishkaushik on May 30, 2012
meri baat dhyaan se suno maine yeh kaha tha ki rajesh khanna ne 5 saal aur
uske baad amitabh ne 12 saal tak hit movies di, dono aaye star bane qaur
uske baad bura time dekha leki the great kishore 18 saal tak top par rahe
unhe is baat se koi fark nahi pada ki unki lip sync karne waala ab ko
supersta hai ya nahi, don,muqaddar ka
sikandar,shaan,laawaris,dostana,hera-pheri,sharaabi,mahaan,the great
gambler,namak halal,satte pe satta,shenshah,inqalab
MrAashishkaushik on May 30, 2012
yeh baat sabhi jaante hai ki rafi ke gaane 50's,60s ke log jyaaa sunte hai
lekin dada ke gaane 10 saal ki age se lekar 80 saal ki age tak sabhi sunte
hai,yeh baat tum bi jaante ho ki agar aaj rafi,kishore ke gaane ek saath
chala diye to log kishore da ke gaane hi sunenge, kishore da ke uper 3-3
filmein ban rahi hai,unko tribute dene ke liye K FOR KISHORE ban chuka
hai,aaj ki movies mein bhi unke gaane remix hote hai, phir bhi agar aap yeh
sochte hai ki rafi jyaada famous hai to kya karein
Popular Links on HindiGeetMala
Popular Links on HindiGeetMala
HindiGeetMala Search Panel - Songs & Films
  • Search Songs
    Type
  • Search Films
    Type